Observer

Listen.See.Smell.Taste.Touch

Shayris

Here are the individual shers /shayris which I do not feel like publishing in separate posts. Feel free to correct any sher/information.


Mirza Ghalib
#1
Qatra apna bhi haqiqat mein hai dariya lekin,
humko taqlid-e-tunukjarfi-e-mansoor nahi.

कतरा अपना भी हकीक़त में है दरिया लेकिन,
हमको तकलीद-ए-तुनुक्जर्फी-ए-मंसूर नही

तकलीद/taqlid= imitation, to follow
तुनुक्जर्फी/tunukjarfi = disclosing secret
*********
#2
Reekhta kay tumhi ustaad nahi ho Ghalib
Kehtay hain aglay zamanay may koi Meer bhi thaa

रिखता के तुम्ही उस्ताद नही हो ग़ालिब
कहते हैं अगले ज़माने मे कोई मीर भी था


Mir Taqi Mir
#1
Ibtida-e-ishq hai rota hai kya
aagaye aagaye dekh hota hai kya

इब्तिदा-ऐ-इश्क है रोता है क्या
आगे आगे देख होता है क्या

Unknown
#1
Tera to tab etbar kijey
jab hove kuch etbar apna

तेरा तो तब एतबार कीजे
जब होवे कुछ एतबार अपना
*********
#2
Phela to badar aur ghata to hilal tha
jo naksh tha apni jagah bemisal tha

फैला तो बदर और घटा तो हिलाल था
जो नक्श था अपनी जगह बेमिसाल था
*********
#3
Zindgi jam-e-ash hai lekin
fayda kya agar mudaam nahi
जिंदगी जाम-ए-एश है लेकिन
फायदा क्या अगर मुदाम नही

मुदाम/mudaam = eternal
*********

5 Responses to “Shayris”

  1. NayaN Says:

    Hizr ki raat kaatne wale…..
    kya karega agar sehar na hui ……..

    Hizr=judai..
    *****************

  2. deepak Says:

    excellent………. plz send me happy new year shairi

  3. Nivrutti Says:

    Excellent, pls send me the two poems of Kabhi Kabhi (1976)

  4. Anni Says:

    Kuch Hum Bhee Cut and Paste Karey…….

    terii Khushbuu kaa pataa karatii hai
    mujh pe ehasaan havaa karatii hai

    shab kii tanhaaii me.n ab to aksar
    guftaguu tujh se rahaa karatii hai

    [shab = night; guftaguu = conversation]

    dil ko us raah pe chalanaa hii nahii.n
    jo mujhe tujh se judaa karatii hai

    zi.ndagii merii thii lekin ab to
    tere kahane me.n rahaa karatii hai

    us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
    dil kaa ahavaal kahaa karatii hai

    [ahavaal = condition/state]

    shaam pa.Date hii kisii shaKhs kii yaad
    kuuchaa-e-jaa.N me.n sadaa karatii hai

    [shaKhs = person; kuuchaa = street/lane; sadaa = call]

    mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
    haal jo teraa anaa karatii hai

    [suluuk = conduct/behaviour; anaa = self/ego]

    dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
    baat kuchh aur huaa karatii hai

    [bayaa.N = state/declare]

    abr barase to inaayat us kii
    shaaKh to sirf duaa karatii hai

    [abr = cloud; inaayat = favour/kindness; shaaKh = branch]

    masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
    faisalaa sirf havaa karatii hai

    [masalaa = problem; faisalaa = decision]
    … By PARVEEN SHAKIR

  5. limit Says:

    “wah, very nice collection”

Leave a Reply

XHTML: You can use these tags: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <strike> <strong>